Skip to main content

Posts

Showing posts from September, 2019

Mere adhoore sapne

               Zimdagi me shayad hi kabhi aisa hua hoga ki Jo maine Socha wo hua.chaha to ye tha ki Jo Chahat hai usse badhkar  mile. Per jitna chaha wo bhi nahi mila.kuch bhi aisa nahi hua ya mila jiski Dil ne khwahish ki thi.               Chaha tha ki zindagi ka har aane wala din guzre din se acha ho.per hua ye ki aane wala har din guzre din se bura guzra.                Jab izzat di to zilaat mili.aur wo bhi aisi jiska kabhi door door tak gumaan nahi tha.farmabardari ki to gulaami mili.wo bhi aisi jis ki inteha nahi.samajhdari dikhai to badle me nasamjhiya mili.jab jab jodna chaha to todte gaye.                 Aur is sabke beech Mai akeli.na koi samjahne wala na saath dene wala.jisse Sabse zyada ummeide thi usne poori tarah se akela kar diya tha.                  Na jaane Q wo sabka saath deta tha aur mujhse nazre churaye phirta tha.mujhe ye sab to nahi chahiye tha.                  Mere adhoore sapne.

Zindagi jeene ka dhang

           Duniya ek aisa maqaam hai jaha har kisi Ko khood ke liye khood hi karna padta hai.jab tak hum doosro ka saath de rahe hote hai tab tak hum doosro ke liye ache hote hai.wohi jab hum doosro se koi ummeid rakhte hai to hum unper bojh ban jaate hai.              Asaan zindagi jeena hai to sirf Dil se hi nahi dimaag se bhi rishte banane padte hai.   Acha Bankar hum Kahi nahi pohonch paate.           Zindagi asaan nahi hoti.aur isko jeene ka dhang bhi sabko nahi aata.duniya me aise bahot Kam log hote hai jo Ise jeene ka sahi dhang jaante hai.aur kuch log Ise seekhte hai.aur kuch log to yuhi zindagi bedhangi guzaar dete hai.zindagi sahi dhang se guzaarna hi zindagi jeena hai.jisne bedhangi zindagi jee usne zindagi bekaar guzara.            Aisa jeena bhibkta jeena hai.

Kaash

         Kaash ek din wo aa jaye Jo chaha wo sab mil jaye Mai rahoo aur wo rahe Hum dono ke beech aur koi na rahe 

Tanha

Mai kal bhi tanha thi Mai aaj bhi tanha hoo kal tak duniya ki Nazar me thi aaj khood ki Nazar me hoo

Koi teesra

        Tu chup hai Mai khamosh hoo         Tu na dekhe mujhe na Mai dekhoo         Sirf isliye kyuki koi teesra nahi chahta.       zindagi guzri ek doosre ke intazaar me     Milke bhi nahi milte tu tarse Mai tarsoo      Sirf isliye kyuki koi teesra nahi chahta.

Bache nahi hum badtameez hain

          per Q?  Bachcho ki badmashi ya bad tameezi se.per bacheche ye sab seekhte kaha se hai? Dekhte hai.     Hum sab Apne bachcho se pareshan hote hain    1.                  Bachcho ki galtiyo per hum unhe bahot Zor se chillate hai daant dete hai aur unhe kehte hai chillakar baat mat karo.    2.                  Bachche ke saamne jis tarah se (are,kya re)kehte hai aur jab wo aisa kehte hai to poochte kaha se seekha ye sab.    3.                Bachocho ke saamne ladte hai jhagadte hai phir jab wo jhagda karke aate hai to kehte hai jhagda karna kaise seekh rahe ho buri baat hai.   4.        Bachcho ke saamne jhoot Bolte hain aur jab wo jhoot Bolte hai to unhe punish karte hai ki ye buri baat hai.        5.           Bachcho ke saamne Apne bado se badtameezi karte hai per jab wohi kaam bachche karte hai to kehte hai ki ye buri baat hai.               

Meri galtiya

             Hum sab Insaan hai.aur koi bhi Insaan kamiyo se Khali nahi hai.ha kisi me Kam to kisi me zyada hoti hai.per kya hum me se koi bhi ye daawa kar Sakta hai ki hum mujh me koi kami nahi.                Isi liye behter hai ki hum sab Insaan doosro ki bajaye khood ki galtiyo ko dekhe.doosro ki galti sudharne se kya hota hai hum to khood waise hi rahenge.agar sach me kisi Ko sudhaarna hai to khood Ko sudhaare.                Dekhna hi hai to apni galtiyo ko dekhe.kaise?  1.             Sabse pehle ye dekhe ki mujhme log kaunsi baat ko bahot zyada napasnd karte hai. 2.                Doosro ki baat per gaur kare aur  dhyaan de ki wo kya sochte hai mere baare me na ki ye soche ki ye to mujhme burai hi nikaalte hai. 3.             Doosro ki batai hui hamari kamiyo aur galtiyo per dhyaan de use nazarndaaz na kare. 4.            Apni galtiyo Ko sudhaarne ki himmat kare. 5.          Apni galtiyo aur kamiyo Ko chupane ke liye koi bhi haalaat ya kisi aur majboori ka bahana na

Waqt ki kadar

           Waqt wo cheez hai jo ek baar Nikal jaaye to phir duniya ki koi taqat use wapas nahi laa sakti.Isi liye kehte hai ki waqt ki kadar waqt rehte kare.har kaam Apne waqt per ho to hi acha hota hai.bahot se kaam aise hote hai jinka ek khaas waqt hota gaibaur agar wo waqt nikal jaye to phir ya to wo kaam dobara nahi ho sakte ya phir wo waise nahi hote jaise hum chahte the.               Aur waqt nikalnebke baad un kaamo Ko karna bahot dushwaar ho jata hai.               Jaise khaas taur per padhai agar waqt rehte bacheche apni aur lagan se apni padhai ache se kar lete hai to wo zindagi me kuch ban paate hai aur agar wo aisa nahi  karte to aage zindagi me bahot takleefe uthani padti hai aur tab wo bahot pachtaate hai tab unhe ahsaas hota hai aur wo pachtaate hai ki agar unhone sahi waqt per is baat per dhyaan diya hota to wo bhi apne dosto ki tarah kamyaab hote apni zindagi me kuch ban paate.                Ye ek misaal  hai Aur isi tarah zindagi me saare kaam Apne waqt per h

Bhoolne ki adat se kaise nipte

           Hum me se bahot se logo Ko bhoolne ki adat hoti hai kisi Ko Kam to  kisi Ko bahot zyada.har 10 me se 3 logo Ko bhoolne ki adat hoti hai jiski wajah se unhe bahot pareshaniya uthani padti hai. Unke kaam sahi waqt per nahi hote ya bahot se kaam adhoore reh jaate hai.             Bhoolne ki is adat se nipatne ke liye hum yaha kuch tips bata rahe hai jisse bhoolne wale logo ko bahot asaani aur sahoolat ho sakti hai.           1.     Apne paas ek choti se book ya dairy rakhe aur Apne saare kaam Usme likhe. Zaroorat ke hisaab se use dekhte rahe.    2.     Apne phone me reminder ya alarm set kare jo bhi kaam jis waqt karna ho us waqt ke hisaab se.     3.      Apne saath rehne walo Ko Apne zaroori kaam ka waqt bata kar unhe yaad dilaane kaha kare.      4.       Jab ghar se bahot se kaam ke liye nikle to un kaamo ki ek list bana le aur Jo jobkaam hote jaye unhe tick karte jaate aur lautne se pehle bhi list ki ek baar achi tarah check kar le.                            Ham

Muskurahat

                Hum doosro Ko kya de.                       Muskurahat         Ye ek aisa tohfa hai jo har koi de Sakta hai.aur har kisi Ko de Sakta hai. Na isme kuch kharch hota hai aur na koi mehnat lagti hai.aur jise de wo bhi bahot khush hota hai.ye aisa tohfa jise dene ke liye game kuch kharch nahi karna padta hai.aur yahi tohfa jab hame kisi se mil jaaye to hum bhi khush hokar dene wale ki taarif karte hai.agar hum kisi Ko muskurahat bhi na de sake to hum me insaniyat hi nahi hai.                  Soche ki jab koi hame dekh kar muskurata hai aur wo aisa hamesha hi hamare saath karta hai to kya hum uski taarif nahi karte? ya usse khush nahi hote? Zaroor khush hote hai.haina. to yahi baat humko sochni chahiye ki jab hum doosro se is baat se khush hote hai to yahi chota SA tohfa agar hum bhi kisi Ko de to wo bhi humse khush hoga.aur doosri baat isse hamare rishte gehre aur mazboot hote hai.

Mehnat

               Mehnat kya hai?kisi cheez ko paane ke liye jo kaam Kiya jaata hai use mehnat kahte hai.per har cheez ki tarah uske bhi kuch tareeqe hote hai.dyniya ka har Insaan kamyab hona chahta hai. Per kya ye sabke ke liye asaan hota hai?                   dekhte hai kuch usool kuch baatey.   1.    mehnat karte waqt hame sirf taqat ka hi nahi balki dimaag ka bhi istemaal karna chahiye. 2.        hamare saamne hamara maqsad saaf hona chahiye. 3.         waqt ke saath mehnat me kami nahi aane dena chahiye. 4.           kisi bhi haal aur samjhaute ke liye har ghadi tayyar rehna chahiye. 5.            apne maqsad ko qismat ke bharose nahi chod dena chahiye balki kaise bhi halaat me mehnat karte rehna chahiye. 6.          mehnat me sharam nahi karni chahiye. koi bhi kaam chota ya bada nahi hota.

Mohabbat

               Mohabbat duniya ka wo jazba hai jise  har insaan Apne dil wa Jaan se paana chahta hai. Duniya ka har Insaan mohabbat dene se zyada mohabbat pana pasand karta hai. Bhale hi us Insaan ne khood apni zindagi me kisi ki Mohabbat di ho ya na ho.                      Koi bhi rishta chahe wo hame janam lete waqt Mila ho ya dosti se bana ho ya phir humne use khood banaya ho apni zindagi me jaise shadi aise har rishte ki buniyaad Mohabbat per hoti hai. Duniya ka har insaan chahta hai ki use log bahot chahe Mohabbat kare. Wo khood agar nafrat baatne wala ho tab bhi wo sabse Mohabbat ki hi ummeid rakhta hai. Kya Mohabbat pana asaan hai? Iska jawab ha hai per sirf ha nahi.chand ahtiyat per Chalke Mohabbat paane me kamyaabi zaroor mil sakti hai aaye dekhe wo kya kya hai.

Khoobsuraty

           Khoobsuraty kya Hoti hai? Kise kehte hai khoobsuraty? Acha dikhna ya acha hona. Asal me khoobsuraty do tarah ki Hoti hai. Ek hoti hai chehere ki khoobsuraty aur doosri hoti hai Mann ki khoobsuraty.                 Har Insaan alag hota hai. Uski soch, khayal sab alag hote hai. Koi gora rang dilkash chehra aur nazaakat ko pasand karta hai. Uske liye acha dikhne wala Insaan khoobsurat hota hai. Wo use khoobsurat kehta hai. To koi achi adat, ache mizaj achi soch aur suljhe hue insaan Ko khoobsurat kehta hai. Har Insaan apni ek alag soch rakhta hai.               Koi Insaan chehre ki khoobsuraty ko  pasand karta hai to koi mann ki.sabki pasand alag hoti hai.               Aap ke liye khoobsuraty kya hai?

Barsaat

              Barsaat; ek pyara mausam. Aur hamari zaroorat bhi. Pani ek aisi zaroorat jo Barsaat se poori hoti hai. Nadi, daim, sab isse bhar jaate hai.sab gharo me Pani pohachta hai isi barish ki wajah se. Agar kisi saal na ho ya kam ho to log bahot logo takleef me aa jaate hain.pani ki killat ka saamna karna padta hain.sukha pad jaata hai Janwar, parinde sab marne lagte hain. Hamari Sabse badi zaroorat "Pani" isi Barsaat se hi poori hoti hai.                    Per jis tarah har Silke ke do pehloo hote hai.usi tarah Barsaat ke bhi hote hai. Zaroorat to hai barish ki per yahi cheez zyada ho jaye to nuksaan ban jaati hai. Sailaab aa jaate hain. Logo ka jaani wa maali nuksaan ho jaata hai. Gharo me Paani bhar jaata hai. Sadke bhar jaati hai gadiya band ho jaati hain. Logo Ko bahot takleef uthani padti hai              Isi liye jaise Barsaat fayda hai waise nuksaan bhi hai.                           

Parivar

            Maa baap bhai bahen Miya Biwi aur bachcho se milkar jo Banta hai use Parivar kehte hain. Ek Aisa ghar jaha hum hamare apni ke saath rehte hai. Unke saath apni zindagi jeete hain. Jaha hamara khana peena uthna baithna ghoomna phirna hamare apni ke saath hota hain. Aur asal Khushi Parivar ke saath jeene me hi hain. Jab admi thakaa hara ghar aata hai to use pata hota hai ki uska Parivar uska intezaar kar raha hain. Ghar lautkar use Apne ghar me Sukoon milta hai.             Ye Parivar hi to hota hai jiski Khushi ke liye Insaan jeeta hai. Din raat mehnat karta hai. Zindagi ke mushkil se mushkil halaat se ladta hain.                     Saari duniya ka Mazaa ek taraf aur Parivar ka sukh ek taraf.

Behne

           Insaan apni zindagi me bahot se rishte banata  hai aur kuch use paida hone per milte hai. Jaise maa baap bhai behen aur bhi bahot se. In rishto me ek khaas rishta aisa bhi hota hai jise behne kehte hai.           Bahne  wo rishta hai jo sab se alag hote hai. Ek behen doosri behen ki sirf behen hi nahi dost bhi hoti hai. Duniya ki saari behne hi aise hi ye zaroori nahi per 10 me se 8 ka ye rishta zaroor hota hain.              Jo rishta dosti ka ek bahen doosri bahen se nibaati hai aisa rishta bhaiyo me nahi dekha jaata. Behne apni shadi shuda zindagi ke Baad bhi wo pyar , Mohabbat ka rishta nibhati hai jo unka itne saalo se tha. Aur jab ek bahen kisi bhi tarah ki takleef me aati hai chahe wo paiso ki , ghareloo ya Jaisi bhi ho ek bahen apni doosri bahen ki madad ke liye chukti nahi.              Isliye is rishte ko hamare samaaj me bahot izzat se dekha jaata hai. Kehne wale to badi bahen ko maa aur choti bahen ko beti kehte hain. Bahot hi pyara rishta hota hain. Behne

Meri maa ka ghar

          Maika; maa ka ghar. Kitna acha lagta hai na ladkiyon  Ko apni maa ka ghar. Khas kar ke shadi ke baad. Kitna acha lagta hai shadi ke Baad maa ke ghar aana. Sab intazaar kar rahe the mera jab Mai Apne maa ke ghar aai Milne. Saare bhai bahen  aur bhabhi aur saath hi unke bachche bhi. Aur sabse khaas meri maa. Jab Mai ghar aai to sab ghar ke bahar meri raah tak rahe the. Aur jab unke saath car se utri to sab Milne aage badge . Izzat se ghar ke andar laaye. Insab me sabse khaas hai meri maa. Jo mujhe dekh kar mere gale lipat gai aur Zor se pakad kar dabane lagi. Phir mujhe chumnr lagi. Unki aankho me Pani tha aur chehre per hasi. Unko dekhkar aisa laga ki jaise wo mujhe bahot zyada waqt ke Baad mili hai per aisa to nahi tha. Mai sirf teen maheene Baad hi aai thi. Tab samajh me aaya ki maa ke liye to itna waqt door Rehna bhi bahot hai. Maa ki Mohabbat ekdam saamne aai . Baar baar maa ka hasta chehra aur nam aankhe nazro ke saamne ghoom rahi thi. Unhe pata tha ki mai apne susraa