Skip to main content

Bhoolne ki adat se kaise nipte

     
     Hum me se bahot se logo Ko bhoolne ki adat hoti hai kisi Ko Kam to  kisi Ko bahot zyada.har 10 me se 3 logo Ko bhoolne ki adat hoti hai jiski wajah se unhe bahot pareshaniya uthani padti hai. Unke kaam sahi waqt per nahi hote ya bahot se kaam adhoore reh jaate hai.
            Bhoolne ki is adat se nipatne ke liye hum yaha kuch tips bata rahe hai jisse bhoolne wale logo ko bahot asaani aur sahoolat ho sakti hai.
       
  1.     Apne paas ek choti se book ya dairy rakhe aur Apne saare kaam Usme likhe. Zaroorat ke hisaab se use dekhte rahe.
   2.     Apne phone me reminder ya alarm set kare jo bhi kaam jis waqt karna ho us waqt ke hisaab se.
    3.      Apne saath rehne walo Ko Apne zaroori kaam ka waqt bata kar unhe yaad dilaane kaha kare.
     4.       Jab ghar se bahot se kaam ke liye nikle to un kaamo ki ek list bana le aur Jo jobkaam hote jaye unhe tick karte jaate aur lautne se pehle bhi list ki ek baar achi tarah check kar le.
           
               Hamari in tips se aapko zaroor fayda hoga shuru me inko adat banana shayad mushkil Lage Lekin jaise hi inper aap kaam karna shuru karenge aapke kaam khood sahi hone lagenge aur aapko bahot asaani hogi.

Comments

Wow

Maa beti ke saath kaise rahe

        Maa beti; ek aisa rishta jaha pyar hai takrar hai. Per kya hi acha ho jo is rishte me dosti bhi ho. Sunne me thoda Ajeeb lagta hai ki kaise? Per ye ho Sakta hai. Sirf kuch baaton ki dhyaan me rakh ke. Aaye dekhte hai wo baate kya hai. 1. Sabse pehle to maa beti ki badhti Umar ke saath uski samajh se Taal mel jodne ki koshish kare. Beti ki baat baat per samjhane ki bajaye use samajhne per zyada dhyaan de. 2.  Maa apni zindagi Ko yaad kare ki is Umar me jab wo khood beti thi wo apni maa se kya ummeide rakhti thi. 3.   Baat baat per beti tokne se bache. Kyuki ek dost kabhi doosre dost Ko zyada rokta tokta nahi. 4.    Agar beti ki koi galat nazar aaye to mauka dekhkar sahi andaz me baat kare. 5.   Peedi ka farq samajhne ki koshish kare aur kuch azadi bhi beti ko de. har Baar ye na soche ki ye baat humne nahi ki thi. Waqt ke saath badlao zaroori hai. 6.    Bahot si baate jise aapki beti napasand Karti hai wo use Baar Baar karne per majboor na kare. 7.  Apni pasand be

Mehnat

               Mehnat kya hai?kisi cheez ko paane ke liye jo kaam Kiya jaata hai use mehnat kahte hai.per har cheez ki tarah uske bhi kuch tareeqe hote hai.dyniya ka har Insaan kamyab hona chahta hai. Per kya ye sabke ke liye asaan hota hai?                   dekhte hai kuch usool kuch baatey.   1.    mehnat karte waqt hame sirf taqat ka hi nahi balki dimaag ka bhi istemaal karna chahiye. 2.        hamare saamne hamara maqsad saaf hona chahiye. 3.         waqt ke saath mehnat me kami nahi aane dena chahiye. 4.           kisi bhi haal aur samjhaute ke liye har ghadi tayyar rehna chahiye. 5.            apne maqsad ko qismat ke bharose nahi chod dena chahiye balki kaise bhi halaat me mehnat karte rehna chahiye. 6.          mehnat me sharam nahi karni chahiye. koi bhi kaam chota ya bada nahi hota.

Wow

     Wow! Life kabhi bhi wow honi chahiye. usme kabhi bhi shit nahi hona chahiye. Haina. tab zindagi jeene ka Mazaa hi kuch aur hai. But ye life wow banegi kaise ? Kya koi bhi hai Aisa jiski life me sirf wow ho aur shit na ho. Ha kuch log aise hote bhi hai aur kuch log  sirf Aisa bante hai. Per life to jeena hai hi chahe ye kaisi bhi ho. But ek bat aur hai asal Insaan wohi hai jo is shit life ko wow Bana de. Chahe wo khood ki ho ya auro ki.kya kehte ho? hmmm. Agree.

Behne

           Insaan apni zindagi me bahot se rishte banata  hai aur kuch use paida hone per milte hai. Jaise maa baap bhai behen aur bhi bahot se. In rishto me ek khaas rishta aisa bhi hota hai jise behne kehte hai.           Bahne  wo rishta hai jo sab se alag hote hai. Ek behen doosri behen ki sirf behen hi nahi dost bhi hoti hai. Duniya ki saari behne hi aise hi ye zaroori nahi per 10 me se 8 ka ye rishta zaroor hota hain.              Jo rishta dosti ka ek bahen doosri bahen se nibaati hai aisa rishta bhaiyo me nahi dekha jaata. Behne apni shadi shuda zindagi ke Baad bhi wo pyar , Mohabbat ka rishta nibhati hai jo unka itne saalo se tha. Aur jab ek bahen kisi bhi tarah ki takleef me aati hai chahe wo paiso ki , ghareloo ya Jaisi bhi ho ek bahen apni doosri bahen ki madad ke liye chukti nahi.              Isliye is rishte ko hamare samaaj me bahot izzat se dekha jaata hai. Kehne wale to badi bahen ko maa aur choti bahen ko beti kehte hain. Bahot hi pyara rishta hota hain. Behne

Parivar

            Maa baap bhai bahen Miya Biwi aur bachcho se milkar jo Banta hai use Parivar kehte hain. Ek Aisa ghar jaha hum hamare apni ke saath rehte hai. Unke saath apni zindagi jeete hain. Jaha hamara khana peena uthna baithna ghoomna phirna hamare apni ke saath hota hain. Aur asal Khushi Parivar ke saath jeene me hi hain. Jab admi thakaa hara ghar aata hai to use pata hota hai ki uska Parivar uska intezaar kar raha hain. Ghar lautkar use Apne ghar me Sukoon milta hai.             Ye Parivar hi to hota hai jiski Khushi ke liye Insaan jeeta hai. Din raat mehnat karta hai. Zindagi ke mushkil se mushkil halaat se ladta hain.                     Saari duniya ka Mazaa ek taraf aur Parivar ka sukh ek taraf.

Mohabbat

               Mohabbat duniya ka wo jazba hai jise  har insaan Apne dil wa Jaan se paana chahta hai. Duniya ka har Insaan mohabbat dene se zyada mohabbat pana pasand karta hai. Bhale hi us Insaan ne khood apni zindagi me kisi ki Mohabbat di ho ya na ho.                      Koi bhi rishta chahe wo hame janam lete waqt Mila ho ya dosti se bana ho ya phir humne use khood banaya ho apni zindagi me jaise shadi aise har rishte ki buniyaad Mohabbat per hoti hai. Duniya ka har insaan chahta hai ki use log bahot chahe Mohabbat kare. Wo khood agar nafrat baatne wala ho tab bhi wo sabse Mohabbat ki hi ummeid rakhta hai. Kya Mohabbat pana asaan hai? Iska jawab ha hai per sirf ha nahi.chand ahtiyat per Chalke Mohabbat paane me kamyaabi zaroor mil sakti hai aaye dekhe wo kya kya hai.

Muskurahat

                Hum doosro Ko kya de.                       Muskurahat         Ye ek aisa tohfa hai jo har koi de Sakta hai.aur har kisi Ko de Sakta hai. Na isme kuch kharch hota hai aur na koi mehnat lagti hai.aur jise de wo bhi bahot khush hota hai.ye aisa tohfa jise dene ke liye game kuch kharch nahi karna padta hai.aur yahi tohfa jab hame kisi se mil jaaye to hum bhi khush hokar dene wale ki taarif karte hai.agar hum kisi Ko muskurahat bhi na de sake to hum me insaniyat hi nahi hai.                  Soche ki jab koi hame dekh kar muskurata hai aur wo aisa hamesha hi hamare saath karta hai to kya hum uski taarif nahi karte? ya usse khush nahi hote? Zaroor khush hote hai.haina. to yahi baat humko sochni chahiye ki jab hum doosro se is baat se khush hote hai to yahi chota SA tohfa agar hum bhi kisi Ko de to wo bhi humse khush hoga.aur doosri baat isse hamare rishte gehre aur mazboot hote hai.

Mai aur meri zindagi

Aaj zindagi ki subah hai. Wahi hai jo Roz Hoti hai. kuch uljhaney jo Mann me hai raat me sote waqt saath soi thi aur aankh khoolte hi jaag uthi hai.zindagi waise hi hai. ye subah bhi Roz Jaisi hi hai. uljhano aur fikar se bhari. khuda jaane ye kab tak saath rahegi? Kya zindagi ke saath tak ya zindagi ke Baad tak.kahi koi ummeide shuru Hoti hai per din dhalne tak meri tarah wo bhi so jaati hai.kya iska saath meri zindagi ke saath tak hai.kehne Ko hazaaro dost hai phir kyu Mai Akeli hoo?kehne Ko Sara ghar saath hai phir kyu Mai Akeli hoo?kya zindagi jeena asaan hai kabhi kabhi lagta hai nahi phir kyu is zindagi Ko JEE rahe hai.kya jeena zaroori hai? Ha hamare apno ke liye kyuki wo jeena chahte hai aur hamare Bina jee nahi sakte .kya ye zindagi yuhi chalegi?