Hum doosro Ko kya de.
Muskurahat
Ye ek aisa tohfa hai jo har koi de Sakta hai.aur har kisi Ko de Sakta hai. Na isme kuch kharch hota hai aur na koi mehnat lagti hai.aur jise de wo bhi bahot khush hota hai.ye aisa tohfa jise dene ke liye game kuch kharch nahi karna padta hai.aur yahi tohfa jab hame kisi se mil jaaye to hum bhi khush hokar dene wale ki taarif karte hai.agar hum kisi Ko muskurahat bhi na de sake to hum me insaniyat hi nahi hai.
Soche ki jab koi hame dekh kar muskurata hai aur wo aisa hamesha hi hamare saath karta hai to kya hum uski taarif nahi karte? ya usse khush nahi hote?
Zaroor khush hote hai.haina. to yahi baat humko sochni chahiye ki jab hum doosro se is baat se khush hote hai to yahi chota SA tohfa agar hum bhi kisi Ko de to wo bhi humse khush hoga.aur doosri baat isse hamare rishte gehre aur mazboot hote hai.
Comments
Post a Comment