Maika; maa ka ghar. Kitna acha lagta hai na ladkiyon Ko apni maa ka ghar. Khas kar ke shadi ke baad. Kitna acha lagta hai shadi ke Baad maa ke ghar aana. Sab intazaar kar rahe the mera jab Mai Apne maa ke ghar aai Milne. Saare bhai bahen aur bhabhi aur saath hi unke bachche bhi. Aur sabse khaas meri maa. Jab Mai ghar aai to sab ghar ke bahar meri raah tak rahe the. Aur jab unke saath car se utri to sab Milne aage badge . Izzat se ghar ke andar laaye. Insab me sabse khaas hai meri maa. Jo mujhe dekh kar mere gale lipat gai aur Zor se pakad kar dabane lagi. Phir mujhe chumnr lagi. Unki aankho me Pani tha aur chehre per hasi. Unko dekhkar aisa laga ki jaise wo mujhe bahot zyada waqt ke Baad mili hai per aisa to nahi tha. Mai sirf teen maheene Baad hi aai thi. Tab samajh me aaya ki maa ke liye to itna waqt door Rehna bhi bahot hai. Maa ki Mohabbat ekdam saamne aai . Baar baar maa ka hasta chehra aur nam aankhe nazro ke saamne ghoom rahi thi. Unhe pata tha ki mai apne susraal me khush hoo phir bhi shayad unhe meri fikar satari hogi aur meri yaad aati hogi isiliye mujhe saamne dekhkar wo itne jazbati ho gai.
Aisa laga insaan ko duniya me jo Sabse zyada pyar karta hai wo uski maa hoti hai.
Maa ka chehra aur wo lamha Mai kabhi nahi bhool Sakti.
Comments
Post a Comment