Khoobsuraty kya Hoti hai? Kise kehte hai khoobsuraty? Acha dikhna ya acha hona. Asal me khoobsuraty do tarah ki Hoti hai. Ek hoti hai chehere ki khoobsuraty aur doosri hoti hai Mann ki khoobsuraty.
Har Insaan alag hota hai. Uski soch, khayal sab alag hote hai. Koi gora rang dilkash chehra aur nazaakat ko pasand karta hai. Uske liye acha dikhne wala Insaan khoobsurat hota hai. Wo use khoobsurat kehta hai. To koi achi adat, ache mizaj achi soch aur suljhe hue insaan Ko khoobsurat kehta hai. Har Insaan apni ek alag soch rakhta hai.
Koi Insaan chehre ki khoobsuraty ko pasand karta hai to koi mann ki.sabki pasand alag hoti hai.
Aap ke liye khoobsuraty kya hai?
Comments
Post a Comment