Barsaat; ek pyara mausam. Aur hamari zaroorat bhi. Pani ek aisi zaroorat jo Barsaat se poori hoti hai. Nadi, daim, sab isse bhar jaate hai.sab gharo me Pani pohachta hai isi barish ki wajah se. Agar kisi saal na ho ya kam ho to log bahot logo takleef me aa jaate hain.pani ki killat ka saamna karna padta hain.sukha pad jaata hai Janwar, parinde sab marne lagte hain. Hamari Sabse badi zaroorat "Pani" isi Barsaat se hi poori hoti hai.
Per jis tarah har Silke ke do pehloo hote hai.usi tarah Barsaat ke bhi hote hai. Zaroorat to hai barish ki per yahi cheez zyada ho jaye to nuksaan ban jaati hai. Sailaab aa jaate hain. Logo ka jaani wa maali nuksaan ho jaata hai. Gharo me Paani bhar jaata hai. Sadke bhar jaati hai gadiya band ho jaati hain. Logo Ko bahot takleef uthani padti hai
Isi liye jaise Barsaat fayda hai waise nuksaan bhi hai.
Comments
Post a Comment