Skip to main content

Posts

Showing posts from August, 2019

Sukh aur dukh

        Sukh aur dukh zindagi ke do pehloo hai jo saath saath chalte hain. Koi bhi Insaan duniya me aisa nahi jisko zindagi ne kabhi dukh na diya ho. Chahe wo gareeb ho ya kitna hi ameer. Ameeri se Insaan Sukh nahi khareed sakta. Har Insaan Ko in dono ke saath hi jeena padta hai aur maut tak ye dono Lage rehte hain.                     Duniya ka har Insaan doosre Insaan Ko dekhkar ye sochta hai ki doosro ki zindagi me koi dukh nahi per aisa hota nahi hai. Har Insaan apni baat aur Apne halaat khood hi jaanta hai. Kehte haina sabko apne kabar ki khabar Hoti hain. Usi tarah zindagi me Sukh dukh ka ameeri, paise, daulat insab se koi waasta nahi hota. Kisi Ko apne parivaar se dukh hain to kisi Ko padosi to koi Len den se parehsan hain. Har kisi ki zindagi me ye utar chadao aate hi rehte hain.            Jeet usi Insaan ki Hoti hai jo zindagi ke har pehloo Ko himmat se jiye aur kamzor na padte hue har pareshani dukh ka saamna kare. Aur insab se aage jeete.

Joint family

         Ghar parivaar sabka hota hai. Aur har Ghar me kuch na kuch  baatein aur oonch neech chalti rehti hai. khaas taur per joint family system me. Aise parivaar me jaha SaaS aur bahoo saath rehte hai. Kyuki jab  bahoo ghar me aati hai to ghar ka mahaul badalne lagta hai ya phir ye kahe ki kharab hone lagta hai. Lekin agar mard ise sambhale aur khood zimmedaar ho to sab thik hi nahi balki bahot acha chal Sakta hai.wo kaise?              Ghar me mard ka mazboot aur samajhdar hona zaroori hai agar wo soojh boojh se kaam le to ghar ki saari uljhaney apne aap hi hal ho Sakti hai. Kaise ? Mard Ko maa  baap aur apni Biwi Ko apni apni jagah rakhna chahiye. Dono me se kisi Ko ek doosre ki zindagi me dakhal dene nahi dena chahiye. bahoo per zabardasti SaaS ke Hukum na chalane de. Chahe ghar me ya bahar. Aur apni Biwi ki saari zimmedari aur kharch khood sambhale isme maa baap ka koi dakhal na hone de. Kahi aane jaane per bhi koi rok tok na ho. Agar dono SaaS aur bahoo apni aapni zindagi

Maa beti ke saath kaise rahe

        Maa beti; ek aisa rishta jaha pyar hai takrar hai. Per kya hi acha ho jo is rishte me dosti bhi ho. Sunne me thoda Ajeeb lagta hai ki kaise? Per ye ho Sakta hai. Sirf kuch baaton ki dhyaan me rakh ke. Aaye dekhte hai wo baate kya hai. 1. Sabse pehle to maa beti ki badhti Umar ke saath uski samajh se Taal mel jodne ki koshish kare. Beti ki baat baat per samjhane ki bajaye use samajhne per zyada dhyaan de. 2.  Maa apni zindagi Ko yaad kare ki is Umar me jab wo khood beti thi wo apni maa se kya ummeide rakhti thi. 3.   Baat baat per beti tokne se bache. Kyuki ek dost kabhi doosre dost Ko zyada rokta tokta nahi. 4.    Agar beti ki koi galat nazar aaye to mauka dekhkar sahi andaz me baat kare. 5.   Peedi ka farq samajhne ki koshish kare aur kuch azadi bhi beti ko de. har Baar ye na soche ki ye baat humne nahi ki thi. Waqt ke saath badlao zaroori hai. 6.    Bahot si baate jise aapki beti napasand Karti hai wo use Baar Baar karne per majboor na kare. 7.  Apni pasand be

College ke din

               Masti, maza, dost, dhamaal aur azadi. Wo College ke din bhi kya din the. Kabhi neend ke liye pehla lecture miss karna to kabhi kisi pakaoo lecturer se bachne ke liye college aaker bhi lecture bunk karna. Wo College canteen me ghanto baithna aur itni der baithne ke liye chai per chai peena. College campus me ghoomna to kabhi stadium jaake football match dekhna. Late hone per professor Ko dekh kar chupna. Attendance sheet per dosto ki proxy karna. Wo auditorium me functions Ko enjoy karna aur Zor Zor se chillana. Aur Dj party attend karna. Aur college ke saare days celebrate karna. Ache ache kapde pehenna. Aur har dost ki birthday ki treat zabardasti usse Lena. Aur jab insab se time mil jaye to padhai karna. Haha. Wo bhi kya din the.?

Aaj phir

          Aaj Phir  mere Mann me wohi sab baate hai jo Laga tha ki bhool gai hoo. Per hamara Mann Samandar  ki tarah hota hai. jiske jazbaat aur yaadein Samandar ki lahro ki tarah hote hai. Kabhi tez to kabhi dheemi. To Kabhi bilkul Sukoon me. Kabhi bahot gussa to kabhi bahot pyar. Kabhi kisi ke liye maafi to kabhi inteqaam. Waqt ke saath hamare jazbaat badalte rehte hai. Insaan ka Mann kabhi ek sa nahi hota. Jaise ki halaat ek se nahi hote. Per ek aur baat hai ki Jeet usi ki hoti hai jo in  sab se nikalkar aage badhta hai. Gussa aana badi baat nahi gussa pee Jaana badi baat hai jis tarah inteqaam Lena badi baat nahi khaas taur per tab jab hum takat rakhte ho inteqaam lene ki. balki maaf kar dena badi baat hai. Haina?

Tanhai

  Tanhai kya hai ye? Ek akelapan jo Insaan ke Maan me hota hai. Kabhi hum akele hoke tanha hote hai aur kabhi sabke saath hoke. Is ki wajah sirf logo se nahi Balki hamare Mann se bhi hoti hai. Kabhi hum isliye tanha ho jaate hai kyuki koi saath nahi hota aur kabhi kabhi sirf isliye kyuki hum logo ka saath chod dete hai. Per kya tanha jeena asaan hai? Nahi hum me se koi bhi tanha jeena nahi chahta. Aur iska ahsaas hame sirf tab hota hai jab hum tanha hote hai. Hame logo ke tanha hone ka ahsaas isse pehle nahi ho Sakta jab tak ye hamare saath na ho. Isliye hame kabhi kisi ka saath nahi chodna chahiye. Haina. 

rishte

       Hamare saath bahot saare rishte jeete hai. Kuch rishte aise hote hai jo hamare bagair nahi chal  sakte aur kuch rishte aise hote hai jinke bagair hum nahi jee sakte. Kuch rishto Ko hum jeete hai aur kuch rishte hame majboori se nibhane padte hai. In sab ke beech zindagi bahot mushkil ho jaati hai. Hum ulajh kar reh jaate hai. Per hamari poori zindagi ke saath ye kashmakash chalti rehti hai. Jo in rishto ke saath samjhauta karna sikh jaate hai unke liye zindagi asaan ho jaati hai Magar jo Aisa nahi kar paste unki mushkile badhti chali jaati hai. Rishto Ko sambhalna asaan nahi hota. Per jab hamare saathi isme hamara saath dete hai samajhdari dikhate hai to phir ye kuch had tak asaan ho jaate hai. Kahi na Kahi ye sab bhi kismat ki baat hoti hai.  Kahi dil bada karke to Kahi maaf karke ye Mumkin ho pata hai. Rishto Ko Sabar aur qurbaani se jeeta ja Sakta hai jo kar paate hai wo jeet jaate hai aur Jo na kar paye wo in rishto Ko haar jaate hai.                   Kya rishto ko jit

Rishto Ko Dosti me kaise badle

       Jab hum rishto me dosti banana chahte hai to ye baat us waqt dhyaan rakhne ki hoti hai ki hum hamare asal dosto ke saath kaise rehte hai. Bas un kuch bato Ko dhyaan rakh ke hum Apne rishto me dosti Bana sakte hai.  1.  Hum Apne dosto per apni marzi zabardasti nahi daalte. 2.    Hum unhe Apne faisle khood karne dete hai bad unhe sujhao dete hai. 3.    Hamare dost per kuch kehne ki pabandi nahi Hoti wo poore bharose se hame Apne Mann ki baat kaeh Sakta hai. 4.     Apne dost ki hum baat baat per daantte nahi hai. 5.     Dost se baat karne ke liye hum khaas waqt nikaalte hai. Agar yahi sab baate hum rishto me bhi kare to hamare rishte bhi Dosti me Badal jayenge.

Wo Haseen raate

         Wo Haseen raate! Jab khule asmaan ke neeche raat guzaarte the. Na ac ki zaroorat thi na cooler ki. Hawa ke jhonke the bas. Kabhi halke to kabhi tez. Sab ke bister lagte ya charpai ghar ki chat per . Halki awaz me radio per gaane chalte. Bade maze ki raate thi jab sab milke baithte. Aur Kudrat ka maza lete. Phir in Hawa ke jhonko ke saath neend ke jhonke lagte. Aur kabhi kabhi in garmiyo ki raato me bin mausam Barsaat ho jaati. Tab sab bister uthakar ghar me chale jaate aur ghar me bister lagte. Per agli raat phir se chat per bister lag jaate. .khule gehre asmaan per  poora chand hota to kabhi aadha aur kabhi Barik. To kabhi Chand se Khali asmaan. Tare asmaan per timtimate bahot pyare lagte. Kya Haseen raate thi wo bhi.

Bachpan ki yaadein

        Wo school ki ghanti ka raasta dekhna aur half day ki Khushi aur usse bhi zyada chutti ka maza ye hai bachpan.subah uthne  ke liye maa Ko Tang karna phir kuch khane ke liye nakhre dikhana.aur jab chuttiya Hoti to dosto ke saath aam todna, tickets jama karna. Pakda pakdi, chuppa chuppi ,bhagam daud. Aur mitti me khelna.phir maa ki daat ke saath nahana aur phir doosre din phir se wohi sab karna.pappa se Zid karke paise maangna aur paise kama karke sab milke kuch khana aur jab paise Kam pad jaye to maa se Zid karna.wo bacpan ki yaadein.bas jab yaad aati hai to lagta hai Aisa waqt poori zindagi me nahi.kabhi kabhi lagta hai Kaash wo din Laut aaye.sach me wo bhi kya din the.

Wow

     Wow! Life kabhi bhi wow honi chahiye. usme kabhi bhi shit nahi hona chahiye. Haina. tab zindagi jeene ka Mazaa hi kuch aur hai. But ye life wow banegi kaise ? Kya koi bhi hai Aisa jiski life me sirf wow ho aur shit na ho. Ha kuch log aise hote bhi hai aur kuch log  sirf Aisa bante hai. Per life to jeena hai hi chahe ye kaisi bhi ho. But ek bat aur hai asal Insaan wohi hai jo is shit life ko wow Bana de. Chahe wo khood ki ho ya auro ki.kya kehte ho? hmmm. Agree.

Khatta meetha

       Khatta meethe mmmma yumy chaat ka maza bhi to Aisa hi hota haina! Per aaj mai baat kar rahi hoo aise hi khatte meethe rishte ki.saas aur bahoo.saas aur bahoo ka rishta teekha Q hota hai agar uske saath chaat ki tarah kuch khutty aur meethi chutni bhi aa jaye to kitna maza aayega.aur ye ho Sakta hai ghar me sabke saath se. agar SaaS aur bahoo me kuch anban hai to sasur aur pati ne apni samajh se inke beech sulah karane ka  koi gal nikaalna  chahaiye. Parivar to sabka haina jab chaat achi banegi to maza to sabko hi aana hai.haina.         To kya ab hamare ghar me bhi hoga SaaS bahoo ka rishta khatta meetha.

Azadi

  Azadi haye! Kise kehte hai azadi?apni zindagi apni marzi se jeena ye hai Sabse badi azadi.azad mulk me hai per kabhi maa baap ki marzi phir kabhi SaaS,sasur ki ya phir kabhi uski jis se shadi ki hai.poori zindagi in sab ki marzi.isme azadi kaha hai?azadi ka matlab hai parindo ki tarah jeena jaha chaha us gaye jaha chaha thaher gaye aur jaha chaha ghosla bana liya.kya chidiya apne bachcho ko rokti hai kahi jaane? Nahi wo to khood unhe azad Karti hai apni zindagi jeene ke liye.aur azadi kise pasand nahi hoti?jo doosro Ko paband banate hai kya wo khood kisi aur ki marzi ki zindagi jee sakte hai? Soche.

Subah ki kiran

           Har subah Apne saath nai kirno Ko laati hai.  Hamari zindagi me kuch naye sapne hote hai wo koi bhi sapne ho sakte hai .hamari khwahisho ke ya hamare Parivar ke liye ya hamare bachcho ke liye.per ye baat sab se sach hai ki subah ki kiran hame naye naye andaz me milte hai.jaise hamesha hamara mood ek jaisa nahi hota usi tarah har subah ek si nahi hoti.subah ki kirno ke saath hamare sapno ko jeene ka unko poora karne ka hosla hota hai.agar har subah hum apsapno Ko poora nekarne ki ummeide aur koshish karenge to kya hum jeet nahi paayenge? Zaroor jeetenge.bas hamare andar ka yakeen Zinda hona chahiye   

Ummeidey

 Ummeide aisi cheez hai jo hamari zindagi Ko behtareen banati hai.haare Ko jeetne ki ummeid,pyase  Ko pani ki ummeid, marte Ko jeene ki ummeid.per kya ye ummeide hame jeena sikhati hai.kya is Sawaal ka jawab hai Kahi ? Ha ye sach hai ki ummeide hame jeene ki takat deti hai .musibato ka Saamna karne ki himmat deti hai. Halaat jo bhi ho hame unse ladne ka hosla deti hai. Ek din bas ek din sab kuch acha hoga .meri marzi meri Khushi jaisa hoga is ummeid per Insaan apni poori zindagi guzaar Sakta hai.aur ye zindagi ka Sabse bada sach hai.wo kaise pata hai? kyuki jo log ummeid haar jaate hai wo zindagi se haar jaate hai isliye ye zindagi ka Sabse bada sach hai ki ummeid per duniya kayam hai.

Aaj ka din

Aaj ka din hai waisa hi jaisa Roz hota hai.aur aaj phir maine Apne aap se poocha hai ki kya Mai Zinda hoo? Aur jawab to khamoshi me hai bas mere Dil ne ha Kahi hai ki ha jab isi ghar me inlogo ke saath hoo to Mai Zinda hoo.ghar ki zimmedari kaunsi nai baat hai mere liye.kya Mai thak chuki hoo zindagi ke Sabar se ? Kya zindagi mujhe aur aazmana chahti hai?per ye kaun Hoti hai mujhe azmane wali.Mai Ise jeeti hoo.mai qurbani deti hoo.mai sabr Karti hoo.phir faisle mere kyu nahi hote zindagi ke kyu hote hai ?marzi meri kyu nahi Hoti zindagi ki kyu Hoti hai.kya Mai aur meri zindagi alag alag hai?nahi ye to meri hi zindagi hai per shayad wo bhi meri tarah majboor hai.

Mai aur meri zindagi

Aaj zindagi ki subah hai. Wahi hai jo Roz Hoti hai. kuch uljhaney jo Mann me hai raat me sote waqt saath soi thi aur aankh khoolte hi jaag uthi hai.zindagi waise hi hai. ye subah bhi Roz Jaisi hi hai. uljhano aur fikar se bhari. khuda jaane ye kab tak saath rahegi? Kya zindagi ke saath tak ya zindagi ke Baad tak.kahi koi ummeide shuru Hoti hai per din dhalne tak meri tarah wo bhi so jaati hai.kya iska saath meri zindagi ke saath tak hai.kehne Ko hazaaro dost hai phir kyu Mai Akeli hoo?kehne Ko Sara ghar saath hai phir kyu Mai Akeli hoo?kya zindagi jeena asaan hai kabhi kabhi lagta hai nahi phir kyu is zindagi Ko JEE rahe hai.kya jeena zaroori hai? Ha hamare apno ke liye kyuki wo jeena chahte hai aur hamare Bina jee nahi sakte .kya ye zindagi yuhi chalegi?