-
Wo school ki ghanti ka raasta dekhna aur half day ki Khushi aur usse bhi zyada chutti ka maza ye hai bachpan.subah uthne ke liye maa Ko Tang karna phir kuch khane ke liye nakhre dikhana.aur jab chuttiya Hoti to dosto ke saath aam todna, tickets jama karna. Pakda pakdi, chuppa chuppi ,bhagam daud. Aur mitti me khelna.phir maa ki daat ke saath nahana aur phir doosre din phir se wohi sab karna.pappa se Zid karke paise maangna aur paise kama karke sab milke kuch khana aur jab paise Kam pad jaye to maa se Zid karna.wo bacpan ki yaadein.bas jab yaad aati hai to lagta hai Aisa waqt poori zindagi me nahi.kabhi kabhi lagta hai Kaash wo din Laut aaye.sach me wo bhi kya din the.
Maa beti; ek aisa rishta jaha pyar hai takrar hai. Per kya hi acha ho jo is rishte me dosti bhi ho. Sunne me thoda Ajeeb lagta hai ki kaise? Per ye ho Sakta hai. Sirf kuch baaton ki dhyaan me rakh ke. Aaye dekhte hai wo baate kya hai. 1. Sabse pehle to maa beti ki badhti Umar ke saath uski samajh se Taal mel jodne ki koshish kare. Beti ki baat baat per samjhane ki bajaye use samajhne per zyada dhyaan de. 2. Maa apni zindagi Ko yaad kare ki is Umar me jab wo khood beti thi wo apni maa se kya ummeide rakhti thi. 3. Baat baat per beti tokne se bache. Kyuki ek dost kabhi doosre dost Ko zyada rokta tokta nahi. 4. Agar beti ki koi galat nazar aaye to mauka dekhkar sahi andaz me baat kare. 5. Peedi ka farq samajhne ki koshish kare aur kuch azadi bhi beti ko de. har Baar ye na soche ki ye baat humne nahi ki thi. Waqt ke saath badlao zaroori hai. 6. Bahot si baate jise aapki beti napasand Karti hai wo use Baar Baar karne per majboor na kare. 7. Apni pasand be
Comments
Post a Comment