Aaj ka din hai waisa hi jaisa Roz hota hai.aur aaj phir maine Apne aap se poocha hai ki kya Mai Zinda hoo? Aur jawab to khamoshi me hai bas mere Dil ne ha Kahi hai ki ha jab isi ghar me inlogo ke saath hoo to Mai Zinda hoo.ghar ki zimmedari kaunsi nai baat hai mere liye.kya Mai thak chuki hoo zindagi ke Sabar se ? Kya zindagi mujhe aur aazmana chahti hai?per ye kaun Hoti hai mujhe azmane wali.Mai Ise jeeti hoo.mai qurbani deti hoo.mai sabr Karti hoo.phir faisle mere kyu nahi hote zindagi ke kyu hote hai ?marzi meri kyu nahi Hoti zindagi ki kyu Hoti hai.kya Mai aur meri zindagi alag alag hai?nahi ye to meri hi zindagi hai per shayad wo bhi meri tarah majboor hai.
Maa beti; ek aisa rishta jaha pyar hai takrar hai. Per kya hi acha ho jo is rishte me dosti bhi ho. Sunne me thoda Ajeeb lagta hai ki kaise? Per ye ho Sakta hai. Sirf kuch baaton ki dhyaan me rakh ke. Aaye dekhte hai wo baate kya hai. 1. Sabse pehle to maa beti ki badhti Umar ke saath uski samajh se Taal mel jodne ki koshish kare. Beti ki baat baat per samjhane ki bajaye use samajhne per zyada dhyaan de. 2. Maa apni zindagi Ko yaad kare ki is Umar me jab wo khood beti thi wo apni maa se kya ummeide rakhti thi. 3. Baat baat per beti tokne se bache. Kyuki ek dost kabhi doosre dost Ko zyada rokta tokta nahi. 4. Agar beti ki koi galat nazar aaye to mauka dekhkar sahi andaz me baat kare. 5. Peedi ka farq samajhne ki koshish kare aur kuch azadi bhi beti ko de. har Baar ye na soche ki ye baat humne nahi ki thi. Waqt ke saath badlao zaroori hai. 6. Bahot si baate jise aapki beti napasand Karti hai wo use Baar Baar karne per majboor na kare. 7. Apni pasand be
Comments
Post a Comment