Maa beti; ek aisa rishta jaha pyar hai takrar hai. Per kya hi acha ho jo is rishte me dosti bhi ho. Sunne me thoda Ajeeb lagta hai ki kaise? Per ye ho Sakta hai. Sirf kuch baaton ki dhyaan me rakh ke. Aaye dekhte hai wo baate kya hai.
1. Sabse pehle to maa beti ki badhti Umar ke saath uski samajh se Taal mel jodne ki koshish kare. Beti ki baat baat per samjhane ki bajaye use samajhne per zyada dhyaan de.
2. Maa apni zindagi Ko yaad kare ki is Umar me jab wo khood beti thi wo apni maa se kya ummeide rakhti thi.
3. Baat baat per beti tokne se bache. Kyuki ek dost kabhi doosre dost Ko zyada rokta tokta nahi.
4. Agar beti ki koi galat nazar aaye to mauka dekhkar sahi andaz me baat kare.
5. Peedi ka farq samajhne ki koshish kare aur kuch azadi bhi beti ko de. har Baar ye na soche ki ye baat humne nahi ki thi. Waqt ke saath badlao zaroori hai.
6. Bahot si baate jise aapki beti napasand Karti hai wo use Baar Baar karne per majboor na kare.
7. Apni pasand beti per na thope.
8. Beti se baat karte waqt bilkul free hoke baat kare dosto ki tarah maa banke nahi.
9. Beti ke saath hasi mazak ka rishta rakhe jiski wajah se wo aapse khulke apni baat leg sake.
In Chand baato per dhyaan diya jaye to maa beti ka rishta bahot mazboot ho Sakta hai jisme pyar bhi ho aur Dosti bhi.
Comments
Post a Comment