Hamare saath bahot saare rishte jeete hai. Kuch rishte aise hote hai jo hamare bagair nahi chal sakte aur kuch rishte aise hote hai jinke bagair hum nahi jee sakte. Kuch rishto Ko hum jeete hai aur kuch rishte hame majboori se nibhane padte hai. In sab ke beech zindagi bahot mushkil ho jaati hai. Hum ulajh kar reh jaate hai. Per hamari poori zindagi ke saath ye kashmakash chalti rehti hai. Jo in rishto ke saath samjhauta karna sikh jaate hai unke liye zindagi asaan ho jaati hai Magar jo Aisa nahi kar paste unki mushkile badhti chali jaati hai. Rishto Ko sambhalna asaan nahi hota. Per jab hamare saathi isme hamara saath dete hai samajhdari dikhate hai to phir ye kuch had tak asaan ho jaate hai. Kahi na Kahi ye sab bhi kismat ki baat hoti hai. Kahi dil bada karke to Kahi maaf karke ye Mumkin ho pata hai. Rishto Ko Sabar aur qurbaani se jeeta ja Sakta hai jo kar paate hai wo jeet jaate hai aur Jo na kar paye wo in rishto Ko haar jaate hai.
Kya rishto ko jitaane ke liye khood ka haar Jaana hi acha hai?....
Comments
Post a Comment