Ghar parivaar sabka hota hai. Aur har Ghar me kuch na kuch baatein aur oonch neech chalti rehti hai. khaas taur per joint family system me. Aise parivaar me jaha SaaS aur bahoo saath rehte hai. Kyuki jab bahoo ghar me aati hai to ghar ka mahaul badalne lagta hai ya phir ye kahe ki kharab hone lagta hai. Lekin agar mard ise sambhale aur khood zimmedaar ho to sab thik hi nahi balki bahot acha chal Sakta hai.wo kaise?
Ghar me mard ka mazboot aur samajhdar hona zaroori hai agar wo soojh boojh se kaam le to ghar ki saari uljhaney apne aap hi hal ho Sakti hai. Kaise ?
Mard Ko maa baap aur apni Biwi Ko apni apni jagah rakhna chahiye. Dono me se kisi Ko ek doosre ki zindagi me dakhal dene nahi dena chahiye. bahoo per zabardasti SaaS ke Hukum na chalane de. Chahe ghar me ya bahar. Aur apni Biwi ki saari zimmedari aur kharch khood sambhale isme maa baap ka koi dakhal na hone de. Kahi aane jaane per bhi koi rok tok na ho. Agar dono SaaS aur bahoo apni aapni zindagi apni marzi se jiye aur dono ek doosre ki zindagi me dakhal na de to uljhane nahi badhegi aur isper dhyaan dene ka aur sahi faisla karne ki zimmedari mard ki Hoti hai. Koi kisi per raaj karne ka Mann na banaye. Aur mard har kisi Ko apna haq Barabar Kode.SaaS koi haq nahi ki bete aur bahoo ke bich bole aur na hi bahoo Ko haq hai ki wo maa bete ke bich kuch na kahe. Har ek ki apni ek jagah hoti hai. Bahoo Ko har baat me sirf isliye jhukaana kyuki wo bahoo hai ye galat hai aur ise rokne ka kaam mard ka hota hai. Insab baato Ko dhyaan me rakhke joint family system thik se chalaya ja sakta hai.
Comments
Post a Comment