- Wo Haseen raate! Jab khule asmaan ke neeche raat guzaarte the. Na ac ki zaroorat thi na cooler ki. Hawa ke jhonke the bas. Kabhi halke to kabhi tez. Sab ke bister lagte ya charpai ghar ki chat per . Halki awaz me radio per gaane chalte. Bade maze ki raate thi jab sab milke baithte. Aur Kudrat ka maza lete. Phir in Hawa ke jhonko ke saath neend ke jhonke lagte. Aur kabhi kabhi in garmiyo ki raato me bin mausam Barsaat ho jaati. Tab sab bister uthakar ghar me chale jaate aur ghar me bister lagte. Per agli raat phir se chat per bister lag jaate. .khule gehre asmaan per poora chand hota to kabhi aadha aur kabhi Barik. To kabhi Chand se Khali asmaan. Tare asmaan per timtimate bahot pyare lagte. Kya Haseen raate thi wo bhi.
Maa beti; ek aisa rishta jaha pyar hai takrar hai. Per kya hi acha ho jo is rishte me dosti bhi ho. Sunne me thoda Ajeeb lagta hai ki kaise? Per ye ho Sakta hai. Sirf kuch baaton ki dhyaan me rakh ke. Aaye dekhte hai wo baate kya hai. 1. Sabse pehle to maa beti ki badhti Umar ke saath uski samajh se Taal mel jodne ki koshish kare. Beti ki baat baat per samjhane ki bajaye use samajhne per zyada dhyaan de. 2. Maa apni zindagi Ko yaad kare ki is Umar me jab wo khood beti thi wo apni maa se kya ummeide rakhti thi. 3. Baat baat per beti tokne se bache. Kyuki ek dost kabhi doosre dost Ko zyada rokta tokta nahi. 4. Agar beti ki koi galat nazar aaye to mauka dekhkar sahi andaz me baat kare. 5. Peedi ka farq samajhne ki koshish kare aur kuch azadi bhi beti ko de. har Baar ye na soche ki ye baat humne nahi ki thi. Waqt ke saath badlao zaroori hai. 6. Bahot si baate jise aapki beti napasand Karti hai wo use Baar Baar karne per majboor na kare. 7. Apni pasand be
Comments
Post a Comment