Sukh aur dukh zindagi ke do pehloo hai jo saath saath chalte hain. Koi bhi Insaan duniya me aisa nahi jisko zindagi ne kabhi dukh na diya ho. Chahe wo gareeb ho ya kitna hi ameer. Ameeri se Insaan Sukh nahi khareed sakta. Har Insaan Ko in dono ke saath hi jeena padta hai aur maut tak ye dono Lage rehte hain.
Duniya ka har Insaan doosre Insaan Ko dekhkar ye sochta hai ki doosro ki zindagi me koi dukh nahi per aisa hota nahi hai. Har Insaan apni baat aur Apne halaat khood hi jaanta hai. Kehte haina sabko apne kabar ki khabar Hoti hain. Usi tarah zindagi me Sukh dukh ka ameeri, paise, daulat insab se koi waasta nahi hota. Kisi Ko apne parivaar se dukh hain to kisi Ko padosi to koi Len den se parehsan hain. Har kisi ki zindagi me ye utar chadao aate hi rehte hain.
Jeet usi Insaan ki Hoti hai jo zindagi ke har pehloo Ko himmat se jiye aur kamzor na padte hue har pareshani dukh ka saamna kare. Aur insab se aage jeete.
Comments
Post a Comment