Zimdagi me shayad hi kabhi aisa hua hoga ki Jo maine Socha wo hua.chaha to ye tha ki Jo Chahat hai usse badhkar mile. Per jitna chaha wo bhi nahi mila.kuch bhi aisa nahi hua ya mila jiski Dil ne khwahish ki thi. Chaha tha ki zindagi ka har aane wala din guzre din se acha ho.per hua ye ki aane wala har din guzre din se bura guzra. Jab izzat di to zilaat mili.aur wo bhi aisi jiska kabhi door door tak gumaan nahi tha.farmabardari ki to gulaami mili.wo bhi aisi jis ki inteha nahi.samajhdari dikhai to badle me nasamjhiya mili.jab jab jodna chaha to todte gaye. Aur is sabke beech Mai akeli.na koi samjahne wala na saath dene wala.jisse Sabse zyada ummeide thi usne poori tarah se akela kar diya tha. Na jaane Q wo sabka saath deta tha aur mujhse nazre churaye phirta tha.mujhe ye sab to nahi chahiye tha. Mere adhoore sapne.
Duniya ek aisa maqaam hai jaha har kisi Ko khood ke liye khood hi karna padta hai.jab tak hum doosro ka saath de rahe hote hai tab tak hum doosro ke liye ache hote hai.wohi jab hum doosro se koi ummeid rakhte hai to hum unper bojh ban jaate hai. Asaan zindagi jeena hai to sirf Dil se hi nahi dimaag se bhi rishte banane padte hai. Acha Bankar hum Kahi nahi pohonch paate. Zindagi asaan nahi hoti.aur isko jeene ka dhang bhi sabko nahi aata.duniya me aise bahot Kam log hote hai jo Ise jeene ka sahi dhang jaante hai.aur kuch log Ise seekhte hai.aur kuch log to yuhi zindagi bedhangi guzaar dete hai.zindagi sahi dhang se guzaarna hi zindagi jeena hai.jisne bedhangi zindagi jee usne zindagi bekaar guzara. Aisa jeena bhibkta jeena hai.